Privacy policy
The Filmy Space · Last update: 1 November 2026
TFS Team app The Filmy Space (Ratlam) ka andar ka tool hai. Yeh sirf hamari team aur hamare approved clients ke liye hai.
Hum yeh rakhte hain: aapka naam aur email (login ke liye), chat messages, aap jo photos aur files bhejte ho, aur shoots, tasks, data log aur kaam ki entries. Yeh sab Supabase (hamara database) mein surakshit rehta hai.
Videos The Filmy Space ke apne Google Drive mein rakhi jaati hain. App sirf "drive.file" permission use karta hai, yaani sirf wahi files dekh sakta hai jo app ne khud banayi hain, kisi ki baaki Drive nahi. Videos 30 din baad apne aap hat jaati hain.
Shoots aur tasks apne aap banane ke liye chat messages ko AI (Anthropic ka Claude) padhta hai.
Hum aapka data kabhi bechte nahi aur kisi ke saath share nahi karte. Clients ko sirf apni company ka group aur apne shoots dikhte hain.
Koi sawaal ho, ya apna data hatwana ho, toh likho: thefilmyspace@gmail.com